JUMMAH KI FAZILAT

Jummah ki fazilath

Hazrat Abu Huraira (RA) Se Riwayat Hai Ke Rasoolullah (SAW) Farmatay Hain Jab Jumu’ah Ka Din Hota Hai Farishtay Masjid Ke Darwazay Par Khaday Ho Jatay Hain.
Pehlay Anay Walay Ka Naam Pehlay, Is Ke Baad Anay Walay Ka Naam , Is Ke Baad Likhte Hain (Isi Tarah Anay Walon Ke Naam Un Ke Anay Ki Tarteeb Se Likhte Rehtay Hain)...
Jo Jumu’ah Ki Namaz Ke Liye jald Jata Hai Usay Oount Sadqa Karne Ka Sawab Milta Hai.
Is Ke Baad Anay Walay Ko Gaay Sadqa Karne Ka Sawab Milta Hai.
Is Ke Baad Anay Walay Ko Mendha,
Is Ke Baad Walay Ko Murghi,
Is Ke Baad Walay Ko Anda Sadqah Karne Ka Sawab Milta Hai.
Jab Imam Khutba Denay Ke Liye Aata Hai To Farishtay –
Woh Register Jin Mein Anay Walon Ke Naam Likhay Gaye Hain Lapet Dete Hain Aur Khutba Sunne Mein Mashgool Ho Jatay Hain.
“Narrated By Al-Bukhaari (881) And Muslim (850)”

Comments

Popular posts from this blog

I WILL BE OFFLINE AND YOU???

ADVICE FOR BEAUTIFUL MARRIAGE LIFE

Ramdaan