Surah Ikhlaas


بِسۡمِ ٱللهِ ٱلرَّحۡمَـٰنِ ٱلرَّحِيم

قُلۡ هُوَ ٱللَّهُ أَحَدٌ(١)
Keh dijiye Allah ek hai
कह दिजिए अल्लाह एक है

ٱللَّهُ ٱلصَّمَدُ(٢)
Allah beniyaaz hai
अल्लाह बेनियाज़ है

لَمۡ يَلِدۡ وَلَمۡ يُولَدۡ(٣)
  Na isse koi paida hua aur na woh kisi se paida hua hai
ना इससे कोई पैदा हुआ और न वो किसिसे पैदा हुआ है

وَلَمۡ يَكُن لَّهُۥ كُفُوًا أَحَدُۢ (٤)
Aur na koi iska Humsafar hai
और ना कोई इसका हमसफर है
-:Tafseer 
Is surah mei Allah Ta'ala ki khalis tauheed bayan ki gai hai isliye is surah ka naam Al Iklaas hai 
Is surah ka sabab nuzool yeh bayaan kiya Gaya hai ki mushrikeen ne Rasoolallah SAW se kaha ke apne Rabb ka nasab bayan Karo to Allah Ta'ala ne is surah ko nazil farmaya

 Hajrat Ikrimah R Anhu farmate hai ki yahood kehte the hum hajrat Uzair Allaihisslam ko pujte hai Jo Allah Ta'ala ke bete hai , aur  isai kehte the hum hajrat Isa Allaihisslam ko pujte hai Jo Allah Ta'ala ke bete hai , aur majoosi khete the ki hum Suraj or Chand ko pujhte hai , aur mushrik kehte the ki hum buthoun ke pujari hai. To Allah Ta'ala ne yeh surah utare ki aye Nabi! Tum keh do ki hamara mabud to sirf Allah Ta'ala hai, jo tanha or akela hai , us jaisa koi nahi hai , uska koi wajeer nahi , uska koi shareek nahi , aur uska koi humsar nahi ( barabar ka nahi )  
Allah Ta'ala sab par galib hai aur apni jaat or shifaat mei Benazir hai

-: Hadiths 
-:Masnad Ahmed (133/5 -134) 
Yeh mukhtsar se surah badi fazeelath hasil hai Ise Nabi SAW ne salasah Qur'an (1/3 Qur'an) qaraar diya hai aur ise raat ko subah or shyam ke azkaar aur har namaz ke baad padhne ki naseehat di hai 

-:(5013)Sahi Bukhari
Baaz Shahaba R. Anhum har rakaat mei digar suratoun ke sath isse bhi zaroor padhte jis par Rasoolallah SAW ne unhe farmaya, "tumhari surah ikhlaas ke sath 
mohabbat tumhe jannat mei lekar jayegi

-:Sahi Bukhari (7375), Sahi Muslim (813)
Hajrat Ayesha R anha  bayan karti hai ke
 Rasoolallah S.A.W. ne ek shaqs ko Ameer bana kar bheja woh apne sathiyon ki imamat karwate the or qarait ke ikhtetam par surah Ikhlaas zaroor padhte the. Yeh log Safar se jab wapis laute to unhone yeh waqiya Rasoolallah S.A.W.. ke samne bayaan kiya . Aap S.A.W. ne farmaya, "Isse pucho ki yeh Aisa kyu karta tha." Logoun ne pucha to usne bataya ki is surah mei Rehman ki shifat bayan ki gai hai isliye mujhe iska padhna pasand hai. Aap S.A.W. ne kaha tum log isse bata do ki Allah Ta'ala isse mohabbat karta hai aur ek rivayat mei hai ki Teri is surah se mohabbat ne tujhe jannat mei dakhil kar diya 

Comments

Popular posts from this blog

I WILL BE OFFLINE AND YOU???

ADVICE FOR BEAUTIFUL MARRIAGE LIFE

Ramdaan