IMAAN


 IMAAN

Imaan lugat mei kisi ki baat ke etemaad par yaqini taur se maan lene ka naam hai ,aur deen ki khas istilah mei rasool ki khabar ko bagair mushahida ke mahaz rasool ke etemaad par yaqini taur se maan lene ka naam imaan hai...

QUR'AN AYAT

Al - Ambiya'a  25
Tarjuma :- Allah Ta'ala ne Rasool Allah S.A.W. se irshad farmaya : Aur humne aapse pehle koi aisaa paigambar nahi bheja jiske paas humne wahi na bheji ho ke mere siwa koi ma'abood nahi isliye meri hi ibadat karo.

An - Nisa 175
Tarjuma :- Allah Ta'ala ka irshaad hai : Jo log Allah Ta'ala par imaan laye aur achi tarah Allah Ta'ala se talluq paida kare to Allah Ta'ala  anqareeb aise logoun ko apni rehmat or fazl mei dakhil karenge aur unhe apne tak pahunchne ka seedha rasta dekhayenge.

Momin 51
Tarjuma :- Allah Ta'ala ka irshaad hai ; Beshaq hum apne Rasooloun or imaan waloun ki duniya ki zindagi mai madad karte hai aur Qiyamat ke di bhi karenge jis din aamaal kikhne wale farishte gawahi dene khade honge.

Al - Baqarah 165
Tarjuma :- Aur imaan waloun ko to Allah Ta'ala se jyada mohabbat hoti hai.

An - An'aam 162
Tarjuma :- Allah Ta'ala ne Rasoolallah S.A.W se irshaad farmaya : Aap keh dijiye ke beshaq meri namaz aur meri ibadat, mera jina or mera marna , sab kuch Allah Ta'ala ke liye hai , jo sare jahaan ka paalne wala hai.

Imaan ki 70 se jyada shakhein hai , in me sab se afzal shakh Laa Illaaha Illallah ka kehna hai.

Laa Illaaha Illallah 

Laa illaaha illallah kehne se muraad poore deen wa tauhid par imaan lana hai aur usko ekhtiyar karna hai. Yeh sabse afzal zikr hai kyunki sare deen ka daromadar isi par hai iske bagair na imaan sahi hota hai aur na koi musalmaan banta hai. 

HADITH :-

Hazrat Abu Hurairah R.Anhu se riwayat hai Aap S.A.W. ne farmaya : Imaan ki 70 se bhi jyada shakhein hai un mei sab se afzal laa illaha illallah ka padhna hai aur sabse choti shakh takleef dene wali cheez ko raste se hatana hai haya imaan ki ek ehm shakh hai. [Sahi Muslim]

Hazrat Abu Bakar R. Anhu se riwayat hai ke Rasoolallah S.A.W. ne irshad farmaya : Jo shakhs us kalima ko qubool karle jis ko mere chacha Abu Talib ne [un ke inteqaal ke waqt pesh kiya ] radd kar diya tha, to woh kalimah us shakhs ke liye nijat ka zariya banega. [Musnad Ahmad]

Hazrat Abu Hurairah R.Anhu se riwayat hai Aap S.A.W. ne irshaad farmaya : Apne Imaan ko taro tazaa rakha karo , arz kiya gaya : " Ya Rasoolallah S.A.W hum apne imaan ko kis tarah taro tazaa karien ?" Aap ne irshaad farmaya : " LA ILLAHA ILLALLAH" ko kasrat se kehte raha karo. [ Musnad Ahmad]

Hazrat Huzaifa R.Anhu se riwayat hain Aap S.A.W. ne irshaad farmaya ji tarah kapde ke naqsh wa nigar ghis jate hai aur maand padh jate hai isi tarah Islam bhi ek jamane mai maand padh jayega, yahan tak ke kisi shakhs ko yeh ilm tak na rahega ki Roza kya cheez hai Zakkat kya cheez hai. Ek shab aayegi ke QUR'AN seenoun se utha liya jayega aur zameen par uski ek ayat bhi baaki na rahegi . Sirf kuch budhe mard our kuch budhi auratein trh jayenge jo yeh kahenge humne apne buzargoun ko yeh kalima LAA ILLAHA ILLALLAH padhte hue suna tha is liye hum bhi yeh kalima padhte hai . 
Hazrat Huzaifa R.Anhu ke shagird Silla ne pucha : jab unhe roza , sadqa aur hajj ka bhi ilm na hoga to bhala sirf yeh kalima unhe kya fayda dega? Hazrat Huzaifa ne uska koi jawab na diya , Silla ne 3 baar yehi sawal duhraya, har baar Huzaifa R.Anhu iraaz karte rahe , phir tisri martaba farmaya : " Silla yeh kalima unko dozakh se nijaat dega."


Jazzakallahu Khairan Kaseerah





















Comments

Popular posts from this blog

I WILL BE OFFLINE AND YOU???

Ramdaan

ADVICE FOR BEAUTIFUL MARRIAGE LIFE