Islam ke Moti [Bayanul hadith]#1


Amaal ka Daromadaar Neeyat par hai...

Yeh Bayanul Hadith ki pehli Hadith hai jisse Umar Bin Khattab R.Anhu ne rivayat ki hai aur yeh bahut hi azeem or khaas Hadith hai... Is Hadith mei hamare deen ki buniyaad hai , foundation hai . Imaam Ahmed aur Imaam Shaafi kehte hai is hadith mei 1/3 ilm hai . Imaam Abu Dawood kehte hai is Hadith mei Islam 1/2 mayne [meaning] aate hai.

Amal ka daromadaar niyat par hai.

Woh Amaal kounse hai???

Woh amal jo Allah Ta'ala ke ehkamat ke mutabik ho aur Qur'an or Sunnat se sabit ho...
jaise Namaaz , Roza , Zakaat...
sath hi mai Allah ki mana karta cheezoun se ruk jana...
jaise sharaab , sood , jua...
aur jin cheezoun mei shaq ho use nazar andaaz karna...
Imaam Ahmed ne ek musalman ke amal kaise hone chahiye bahut hi behtreen andaaz mai 
Imaam Ahmed ka kehna hai, " har musalmaan ko Allah ki Halaal karda  cheezoun ko pakadna hai or Haram karda cheezoun ko chod dena hai. Aur halaal ko pakdte hue jo bhin amal karenge usme niyat durust or khalis Allah ke liye
 honi chahiye.
Har amal ke piche koi na koi niyat hoti hai . Insaan niyat ke bina koi amal nahi karta
Abb agar niyat achi ho to amal bhi ache hone 
or agar niyat buri ho to amal bhi bure honge 
Har amal ke waqt shaitaan rokne ki koshishb karta hai jaise kabhi kotahi kabhi bahane har koshish karte hue shaitaan hamare piche laga hua hota hai jisse woh hamari niyat se humme pher de.Humme shaitaan ko hara kar apni niyat par amal karna aur yeh tab hi mumkeen hoga jab hamari niyat khalisatan Allah ki razamandi ke liye hogi. 
Agar Allah ki raza ke alawa par humari koi niyat ho to humme apni niyat yahan durust kar leni hai take Hamara har amal sirf or sirf Allah ki raza ke liye ho.
Abb

Niyat aakhir kya hai ???

Jo bhi kaam hum karna chahte hai ya karte hai uski ibteda Niyat se hi hoti hai aur Niyat ki ibteda sirf or sirf dil se honi chahiye zubaan se nahi. Niyat yeh nahi hoti ki koi kaam karne se pehle kuch kalimat bol liye... Namaz padne se pehle niyat ke liye kuch kaliamat zubaan se keh diye . Agar koi shaqs dil se sirf har namaz mai sirf or sirf farz namaz ada karke farig hona chahta but wo sabke saat sunnat bhi padhta hai or nawfil bhi... lrkin inki woh dil se niyat nahi karta phir bhi padhta hai to un namazoun ka usko ajr nahi milega jiski usne dil se niyat na ki ho...
Namaz ke liye or Rozoun ke liye dil se niyat karna hai...zubaani kuch kalimaat padh lena sunnat se sabit nahi hai...

Niyat kaisi honi chahiye ???

Hamari niyat sirf or sirf yeh honi chahiye ,"mai yeh amal sirf or sirf Allah ki raza ke liye hona chahhiye,"
agar AllH ki raza ke alawa par hamari koi dusri niyat ka kahayal bhi dil mei aata hai to humme use foran rok dena chahiye...us waqt humme ek khud ke liye pause lena hai or sochna hai ki yeh humm kaha hai or kya kar rahe hai︕
Niyat sirf or sirf dil se honi chahiye...zubaan se nahi.
Niyat mei Allah ki raza ka ikhllas hona chahiye...

HAR SHAQHS KO NIYAT KE MUTABIK JAZA MILEGI

NIYAT KE BINA AMAL KO CONSIDER HI NAHI KIYA JAYEGA

Niyat mei kya aata hai ???

Niyat mei 2 cheezein aati hai :-
  1. kyu kar rahe hai 🠖 hum Allah ki raza ke liye kar rahe hai
  2. kiske liye kar rahe hai🠆 hum Allah ke liye kar rahe hai

Agar koi amal ki niyat Allah ko razi karna nahi hai to uska koi ajr nahi milega...

jaise agar koi kisiko Qur'an sikha raha hai jo bht hi nek amal hai lekin uski niyat Allah ki razamandi nahi balke duniyai fayda ho to use sirf duniyai daulat milegi...Allah ki taraf se koi ajr nahi milega.

Agar koi amal ki niyat pehle Allah ki razamadi thi phir duniyai fayda dekh kar badal di gai to us amal ka bhi ajr nahi
milega.

Agar koi amal ki niyat pehle Allah ke liye karta hai phir duniyai fayda ya dikhawe ke liye usmei perfection lata hai to phir usse sirf us niyat ka ajr milega perfection ka nahi.

Agar koi amal ki niyat kare Allah ki razzmandi ki phir wo amal pura kare phir uske baad mei use duniyai fayda mile to phir uska use zarooz ajr milega Allah ki taraf se..
Abb Allah ke liye jo amal karna hai woh 2 categories mai aayenge :-
1. IBADAAT :- ismei kisi aur ke liye koi bhi niyaT allowed nahi hai
2. Allah Ta'ala ke liye koi amal hai aur Allah Ta'ala ne usme duniyai fayde bhi rakh diye hai to phir humari niyat ki buniyad Allah ki razamandi hi honi chahiye.

Agar hamare Amal mei Iklaas nahi ho hamare Amal ki koi value nahi

Agar hum duniya se hamari niyat chupalein lekin Allah se nahi chupa sakte

Agar hum har amal karne se pehle niyat yeh karlein ki hum yeh kaam Allah ki razamandi ke liye kar rahe hai to woh amal Ibadaat ban jayega...

Agar hum duniya ka koi bhi amal Allah ki razamandi ke liye kare to woh bhi Ibadaat mei aayega uska bhi ajr milega.

Amal ke 2 hisse hai
     1. amal
     2. niyat
hamare amal bhi durust honw chahiye or woh amal ke piche hamari niyat bhi durust honi chahiye...Yane Qur'an or Sunnat ke according hona chahiye.





 
  .  

Comments

Popular posts from this blog

I WILL BE OFFLINE AND YOU???

Ramdaan

ADVICE FOR BEAUTIFUL MARRIAGE LIFE