Muharram-ul Haraam me Gam Manane ka Hukm❓

📝 Muharram-ul Haraam me Gam Manane ka Hukm❓

~Answer:- Muharram-ul Haraam ke Mahine me *Karbala ka Waqia aur Shahadat-e Husain RaziAllahu Anhu ki wajah se* Dil Ranjeeda hona, Gamgeen hona aur is par Sabr karna Musalmano ki Aadat hai, *ye Islami Tareek me Ek bahot Bada Sadma tha, Lekin is Sadme par Sabr karne ke bajaye* Rasmi Dukh aur Gam Manana phir khaas kar Khilaf-e Shari'at kaam yani Gum manana aur  Chaati Peetne ke Zariye is Rasmi Gam aur Dukh ko Zahir karna islam me Haraam hai, Hadeese Shareef me Murde ka Bayan kar ke Rona, Rulana, karne walon par Sakht Wa'eedein Aayi hai* (Saza dene ka Wada);
RASULULLAH ﷺ ne Irshad Farmaya:
*Wo Shaks Humare Raaste par Chalne walon me se Nahi hai jo Gaalo ko Peete, Gireban Phaade aur* Jahiliyat ki tarah Awaaz Bulad kare (yani Rone ke waqt Zuban se *aise Alfaaz aur aisi Awaaz Nikale jo Shar'an Manaa hai jaise Noha ya Vavela karna wagera wagera),*
📖[Mishkat-al Masabeeh Hadees no 1726, pg no 541/1]
➡️ Lihaza *jo Shaks bhi Khilaf-e Shari'at kaamo ke Zariye apne Rasmi Dukh* aur Gam Zahir karega toh wo Wa'eed me Dakhil hoga, *aise Logon ki Majliso me Shareek hona bhi Jaiz Nahi hai* !!

Comments

Popular posts from this blog

I WILL BE OFFLINE AND YOU???

ADVICE FOR BEAUTIFUL MARRIAGE LIFE

Ramdaan